sukun-e-qalb ke asbab hum pe band rahe
magar hum ahl-e-mohabbat wafa-pasand rahe
qadam qadam pe sajae gae the dar-o-rasan
KHuda ka shukr ki hum phir bhi sar-buland rahe
wo ek hamein the jo sharminda-e-karam na hue
wo nang-e-ishq the jo iltija-pasand rahe
tere sitam ne mere dil ko hausla baKHsha
KHuda kare ki tera hausla buland rahe
zaban se taqat-e-guftar chhinne walo
tumhin batao ki kab tak zaban band rahe
jo aashna-e-faza-e-falak the ai 'mahir'
wo KHizr bhi to meri gard-e-pa mein band rahe
Ghazal
Sukun-e-qalb ke asbab hum pe band rahe
Mahir Al-Hameedi