sukun-e-dil na mayassar hua zamane mein
na yaad rakhne mein tum ko na bhul jaane mein
hamesha wusat-e-aflak mein raha hai gham
kahan qayam hai shahin ka aashiyane mein
uruj-e-tirgi-e-shab se ho sahar paida
yahi nizam hai duniya ke kar-KHane mein
shafaq ke KHun ki surKHi bhi ho gai shamil
sahar-ba-dosh sitaron ke jhilmilane mein
abhi bahaar ka kuchh aur intizar karo
ki thoDi der hai kaliyon ke muskurane mein
ye wo mata-e-giran hai jo mil nahin sakti
sukun-e-dil ki tamanna na kar zamane mein
kabhi qarar dil-e-be-qarar ko bhi mile
ilahi kaun kami hai tere KHazane mein
kisi se kuchh bhi shikayat karun to kya hasil
mila na koi wafa-ashna zamane mein
gulon ki bazm hi ranginiyan ba-dosh nahin
har ek naqsh hasin hai nigar-KHane mein
mein raundta hua kanTon ko yun guzarta hun
ki rah-rawon ko suhulat ho aane jaane mein
wo ek tum ho ki tum ko kisi ne kuchh na kaha
wo ek hum hain ki ruswa hue zamane mein
tere KHayal se aati nahin jo lab pe mere
wahi to kaam ki ek baat thi fasane mein
wo iztirab-e-musalsal ka lutf kya jaane
musibaton se jo ghabra gaya zamane mein
kuchh andalib ka KHun jigar bhi hai shamil
gulon ki bazm ki ranginiyan baDhane mein
hamin to lazzat-e-azar ke nahin KHugar
unhen bhi lutf sa aata hai kuchh satane mein
qusur un ki nigahon ki shoKHiyon ka bhi hai
hamari jurat-e-shauq-o-talab baDhane mein
rahega muddaton charcha mera zabanon par
kisi ki bazm se 'anwar' uTh ke jaane mein
Ghazal
Sukun-e-dil na mayassar hua zamane mein
Anwarul Hasan Anwar