اردو हिंदी
Sukun-e-dil mein wo ban ke jab intishaar utra to maine dekha | Shaahi Shayari
sukun-e-dil mein wo ban ke jab intishaar utra to maine dekha

Ghazal

Sukun-e-dil mein wo ban ke jab intishaar utra to maine dekha

Tahir Faraz

;

sukun-e-dil mein wo ban ke jab intishaar utra to main ne dekha
na dekhta par lahu mein wo bar bar utra to main ne dekha

na aansuon hi mein wo chamak thi na dil ki dhaDkan mein wo kasak thi
sahar ke hote hi nashsha-e-hijr-e-yar utra to main ne dekha

udas aankhon se tak raha tha mujhe wo chhuTa hua kinara
shikasta kashti se jab main dariya ke par utra to main ne dekha

jo barf aankhon mein jam chuki thi wo dhire dhire pighal rahi thi
jab aaine mein wo mera aaina-dar utra to main ne dekha

the jitne wahm-o-guman wo sab nai haqiqat mein Dhal chuke the
ek aadmi par kalam-e-parwardigar utra to main ne dekha

na jaane kab se sisak raha tha qarib aate jhijak raha tha
makan ki dahliz se wo jab ashk-bar utra to main ne dekha

KHayal-e-jaanan teri badaulat 'faraaz' hai kitna KHub-surat
dimagh-o-dil se haqiqaton ka ghubar utra to main ne dekha