sukun-e-dil gaya nazron se sab qatare gae
chaman mein khilte hue jab se phul mare gae
hawa-e-maut zara der kya idhar aai
ki mere hath se uD kar mere ghubare gae
ye kaisi karbala barpa hui peshawar mein
lahu mein Dube hue mere bachche mare gae
unhen hi martaba milta hai ja ke jannat mein
husul-e-ilm ki KHatir jo jaan ware gae
chaman ujaDne walo tumhein KHuda samjhe
tumhein na aai haya phul to hamare gae
rahega yaad hamein aane wali naslon tak
wo naqsh-e-pa jo yahan KHun se ubhaare gae
salam mera 'azim' un shahid bachchon ko
jo apni jit ki KHatir bhi jaan haare gae
Ghazal
Sukun-e-dil gaya nazron se sab qatare gae
Azim Haidar Syed