اردو हिंदी
SuKHan suKHan jo kisi karb se ibarat tha | Shaahi Shayari
suKHan suKHan jo kisi karb se ibarat tha

Ghazal

SuKHan suKHan jo kisi karb se ibarat tha

Mukhtar Shameem

;

suKHan suKHan jo kisi karb se ibarat tha
main lafz lafz KHud apni hi to hikayat tha

KHyal-e-wahm ki surat bhi kya haqiqat tha
wo dur dur tha to kitna KHub-surat tha

har ek ba-nam-e-mohabbat KHulus ki KHatir
har ek dusre ke waste musibat tha

wajud-e-lafz-o-mani sukun-e-jaan kahiye
KHud apni zat mein har harf ek aziyyat tha

lapakte shoalon mein jalte rahe KHutut magar
ek ek harf pukara hai main mohabbat tha

use daraazi-e-qad par bahut ghurur hua
suna hai us mein bhi pahlu husul-e-shohrat tha

hazar us se KHafa hon bura kahen lekin
'shamim' shaKHs tha kya KHub dam ghanimat tha