suKHan raaz-e-nashat-o-gham ka parda ho hi jata hai
ghazal kah len to ji ka bojh halka ho hi jata hai
wo aalam jab kisi mayus ka hota nahin koi
tujhe malum bhi hai to kisi ka ho hi jata hai
kiya hai main ne izhaar-e-tamanna jaane kis kis se
mujhe akasr teri surat ka dhoka ho hi jata hai
hujum-e-arzu ham-rah-e-jaan-o-dil sahi lekin
qarib-e-ku-e-jaanan koi tanha ho hi jata hai
hamein to umr bhar ka gham ki aisa kyun hua hoga
hamein ab kaun samjhae ki aisa ho hi jata hai
koi tujh sa nahin hai anjuman-dar-anjuman dekha
teri tanhaiyon mein koi tujh sa ho hi jata hai
na ro yun 'shaz' aankhen jo dikhaen dekhte jao
na itna gham karo ye dil hai sahra ho hi jata hai
Ghazal
SuKHan raaz-e-nashat-o-gham ka parda ho hi jata hai
Shaz Tamkanat