suKHan mein kaamrani kar raha hun
zaifi mein jawani kar raha hun
ghurur-e-naqsh-e-awwal pesh kya jae
main kar-e-naqsh-e-sani kar raha hun
na samjhega koi mujh ko payambar
abas dawa-e-sani kar raha hun
ajal tu hi subuk kar mujh ko aa kar
dilon par main girani kar raha hun
dil-e-mashuq patthar hai to howe
main is ko pani pani kar raha hun
tasawwur hai kahan mujh pas tera
main KHud baaten zabani kar raha hun
nahin pas us ke baiTha be-sabab main
gulon ki pasbani kar raha hun
kabhi tu bhi to mere KHwab mein aa
main teri yaad jaani kar raha hun
farishte ka guzar us tak nahin hai
main aaphi bad-gumani kar raha hun
nahin ai 'mushafi' fahmida koi
abas jadu-bayani kar raha hun
Ghazal
SuKHan mein kaamrani kar raha hun
Mushafi Ghulam Hamdani