اردو हिंदी
SuKHan kiya jo KHamoshi se shaeri jagi | Shaahi Shayari
suKHan kiya jo KHamoshi se shaeri jagi

Ghazal

SuKHan kiya jo KHamoshi se shaeri jagi

Shehpar Rasool

;

suKHan kiya jo KHamoshi se shaeri jagi
charagh lafzon ke jal uTThe raushni jagi

zid-e-malal-o-masarrat mein umr bit gai
ye dew soya na wo KHwab ki pari jagi

tu barf dard samundar mein iztirab aaya
to KHushk-chashm jazire mein kuchh nami jagi

wahan zaban pe samundar ki KHushkiyan ubhrin
yahan zamin ke honTon pe kuchh hansi jagi

nazar nazar mein samain halawaten 'shahpar'
KHayal-e-lams-o-nazara mein sarKHushi jagi