suKHan ke chaak mein pinhan tumhaari chahat hai
wagarna kuza-gari ki kise zarurat hai
zamin ke pas kisi dard ka ilaj nahin
zamin hai ki mere ahd ki siyasat hai
ye intizar nahin shama hai rifaqat ki
is intizar se tanhai KHub-surat hai
main kaise war dun tujh par mere sitara-e-sham
ye harf-e-KHwab to ek chand ki amanat hai
main KHak-e-KHwab palak se jhaTakne wala tha
pata chala ki yahi hasil-e-masafat hai
ye mustatil sa KHaka ki jis ko ghar kahiye
usi ke daera o dar mein meri jannat hai
ye KHosha-chini-e-KHwan-e-anis hai 'arshad'
namak namat jo mere sher mein fasahat hai
Ghazal
SuKHan ke chaak mein pinhan tumhaari chahat hai
Arshad Abdul Hamid