اردو हिंदी
SuKHan ka lahja guman-KHane mein rah gaya hai | Shaahi Shayari
suKHan ka lahja guman-KHane mein rah gaya hai

Ghazal

SuKHan ka lahja guman-KHane mein rah gaya hai

Ghazanfar Hashmi

;

suKHan ka lahja guman-KHane mein rah gaya hai
mera zamana kisi zamane mein rah gaya hai

jo tujh ko jaana hai is andhere mein hi chala ja
bas ek lamha diya jalane mein rah gaya hai

abhi tahi-dast mujh ko mat jaan ai zamane
ki ek aansu mere KHazane mein rah gaya hai

kabhi jo hukm-e-safar hua to khula ye mujh par
jo par salamat tha aashiyane mein rah gaya hai

ajab tarah ka adhura-pan hai mere bayan mein
so mera qissa kahin sunane mein rah gaya hai

bahut zaruri tha KHud se milna magar ghazanfar
ye kar-e-duniya ke tane-bane mein rah gaya hai