sukhane baal hi koThe pe aa gae hote
isi bahane zara munh dikha gae hote
tumhein bhi waqt ki raftar ka pata chalta
nikal ke ghar se gali tak to aa gae hote
gala bhigo ke kahin aur sada laga leta
zara faqir ko pani pila gae hote
are ye Thik hua honT si liye hum ne
wagarna log tujhe kab ka pa gae hote
bhala ho chand ka aate hi nur pahunchaya
sitare hote to aankhen chura gae hote
jawan jismon ko ThanDa na kar sake lekin
hawa ke jhonke diya to bujha gae hote
Ghazal
Sukhane baal hi koThe pe aa gae hote
Mohammad Alvi