sukh dukh mein garm-o-sard mein sailab mein bhi hain
yaaden tumhaari mausam-e-shadab mein bhi hain
hone lagi shikast jo har moD par mujhe
dushman pata chala mere ahbab mein bhi hain
daman ko pak rakhne ke haq mein tha main magar
wo kah rahi thi dagh to mahtab mein bhi hain
dilli suKHan-waron ka hai markaz magar miyan
urdu ke kuchh charagh to punjab mein bhi hain
rangin martaban mein ye KHush nahin to kya
kuchh machhliyan udas to talab mein bhi hain
Ghazal
Sukh dukh mein garm-o-sard mein sailab mein bhi hain
Jatinder Parwaaz