suhane KHwab aankhon mein sanjona chahta hun
mein ab aaram se kuchh der sona chahta hun
shajar ko bar-awar dekhna maqsad nahin hai
ki mein to bas zamin par KHwab bona chahta hun
mere hanste hue bachcho ye sara ghar tumhaara
main rone ke liye bas ek kona chahta hun
nawah-e-zist mein kyun barishen hoti nahin hain
main pichhle mausamon ke zaKHm dhona chahta hun
bas us ke aane tak mausam mujhe sarsabz rakhna
use ek KHar ab main bhi chubhona chahta hun
mujhe be-KHwab rakhti hai kabhi duniya kabhi dil
main bachchon ki tarah be-fikr sona chahta hun
hawao kya tumhaara mehrban shana milega
dahaDen mar kar main aaj rona chahta hun
jise hai jaan aziz apni utar jae kinare
main apni naw maujon mein Dubona chahta hun
'salim' ab aandhiyon se ham-rakabi kis liye hai
sar-e-mizhgan bacha kya hai ki khona chahta hun

Ghazal
Suhane KHwab aankhon mein sanjona chahta hun
Saleem Faraz