اردو हिंदी
Subut-e-jurm na milne ka phir bahana kiya | Shaahi Shayari
subut-e-jurm na milne ka phir bahana kiya

Ghazal

Subut-e-jurm na milne ka phir bahana kiya

Husain Taj Rizvi

;

subut-e-jurm na milne ka phir bahana kiya
ki adliya ne wahi faisla purana kiya

hawa ke apne masail hain aur charagh ke bhi
na wo ghalat na amal us ne mujrimana kiya

ye tum ne jang ka unwan hi badal Dala
alam sajaya na lashkar koi rawana kiya

hari bhari thin jo shaKHen wahi phalin phulin
usi shajar ko parindon ne aashiyana kiya

sawal main ne bhi rakkhe guzarishon ki tarah
badal ke us ne bhi andaz-e-dil-barana kiya

mere liye hi adawat ke dar bhi khole gae
mere hi nam mohabbat ka bhi KHazana kiya

hamesha wade hue taj ke hawale se
agarche taKHt ne wada kabhi wafa na kiya