اردو हिंदी
Subu uThaun to pine ke bich khulti hai | Shaahi Shayari
subu uThaun to pine ke bich khulti hai

Ghazal

Subu uThaun to pine ke bich khulti hai

Afzal Naved

;

subu uThaun to pine ke bich khulti hai
koi gali mere sine ke bich khulti hai

tamam raat sitare talash karte hain
wo chandni kisi zine ke bich khulti hai

tu dekhta hai to tashkil pane lagta hun
meri bisat nagine ke bich khulti hai

giraft-e-hosh nahin sahal dast-bardari
girah ye saKHt qarine ke bich khulti hai

kinara-e-mah-o-anjum jahan tilak bhi ho
ye raushni isi jine ke bich khulti hai

na baadban koi aur na rud-o-samt-o-sukun
to kis ki khinch safine ke bich khulti hai

rukun to dekh sakun aasman ki khiDki
jo ek bar mahine ke bich khulti hai

zara sa aur bhi kina ai kina-parwar-e-jaan
meri nazar tere kine ke bich khulti hai

ye kaun chhoD gaya hai maqam-e-asl 'nawed'
ye kis ki bas dafine ke bich khulti hai