subu par jam par shishe pe paimane pe kya guzri
na jaane main ne tauba ki to mai-KHane pe kya guzri
milen to faizan-e-manzil-e-maqsud se puchhun
guzargah-e-mohabbat se guzar jaane pe kya guzri
kisi ko mere kashane se hamdardi nahin shayad
har ek ye puchhta hai mere kashane pe kya guzri
na ho jo zindagi anjam wo wijdan-e-naqis hai
huzur-e-shamm'a baad-e-wajd parwane pe kya guzri
bataen barhaman aur shaiKH un ki KHana-jangi mein
KHuda-KHane pe kya biti sanam-KHane pe kya guzri
tu apne hi maal-e-soz-e-gham par ghaur kar pahle
tujhe is se nahin kuchh bahas parwane pe kya guzri
kisi hikmat se kar de koi goya marne walon ko
ye raaz ab tak hai sar-basta ki mar jaane pe kya guzri
teri har su tajalli aur meri har taraf nazren
tujhe to yaad hoga aaina-KHane pe kya guzri
zaban munh mein hai arz-e-haal kar tu ne to dekha hai
ki KHu-e-zabt-o-KHamoshi se parwane pe kya guzri
wo kahta tha KHuda jaane bahaar aae to kya guzre
KHuda jaane bahaar aai to diwane pe kya guzri
ye hai 'simab' ek na-gufta ba-afsana kya kahiye
watan se kunj-e-ghurbat mein chale aane pe kya guzri
Ghazal
Subu par jam par shishe pe paimane pe kya guzri
Seemab Akbarabadi

