subu mein aks-e-ruKH-e-mahtab dekhte hain
sharab pite nahin hum sharab dekhte hain
kisi bhi taur uThe par teri nigah uThe
jala ke ghar tujhe KHana-KHarab dekhte hain
use na dekh sakenge ai kash inhen dekhen
wo kaun hain jo ise be-naqab dekhte hain
hamare chehre pe likkha gaya fasana-e-waqt
hum aaina nahin takte kitab dekhte hain
wo hai hi laiq-e-sajda so hum ne sajda kiya
wo aur hain jo azab o sawab dekhte hain
hawas na jaan tujhe chhu ke dekhna ye hai
tujhe hi dekh rahe hain ki KHwab dekhte hain
Ghazal
Subu mein aks-e-ruKH-e-mahtab dekhte hain
Arif Imam