subuk-sari mein bhi andesha-e-hawa rakhna
sulag uThe ho to jalne ka hausla rakhna
nai faza mein nae par nikalne honge
falak ko zer-e-zamin ko gurez-pa rakhna
tumhaare jism ke sandal ki aabru hai bahut
hujum-e-shauq mein rah kar bhi fasla rakhna
zamin phul faza nur aasman dhanak
inhin mein rahna magar rang bhi juda rakhna
tumhaare shahr ke lab-basta shairon mein se hun
mere liye bhi koi harf-e-be-nawa rakhna
ye zinaten bhi ajab hain ye sadgi bhi ajab
riya ke sare hunar jism par saja rakhna
na jaane kaun sa kis waqt kaam aa jae
so ek jeb mein but ek mein KHuda rakhna
Ghazal
Subuk-sari mein bhi andesha-e-hawa rakhna
Baqar Naqvi