اردو हिंदी
Subuk sa dard tha uThta raha jo zaKHmon se | Shaahi Shayari
subuk sa dard tha uThta raha jo zaKHmon se

Ghazal

Subuk sa dard tha uThta raha jo zaKHmon se

Aslam Habeeb

;

subuk sa dard tha uThta raha jo zaKHmon se
to hum bhi karte rahe chheD-chhaD ashkon se

sabhi ko zaKHm-e-tamanna dikha ke dekh liye
KHuda se dad mili aur na us ke bandon se

dhuan sa uThne laga fikr-o-fan ke aiwan mein
lahu ki bas si aane lagi hai sheron se

ab in se dekhiye kab manzilen huwaida hon
uTha ke laya hun kuchh naqsh teri rahon se

bilak raha hai nigahon mein hasraton ka hujum
laTak rahi hain patangen udas khambon se

ab aur kis se tere gham ka tazkira karte
tamam-raat rahi guftugu sitaron se

bas ek jast mein aflak se nikal jaun
phalang jaun zamin ko main chaar qadmon se