subuk hun apni nigahon mein arz-e-haal ke baad
ki aabru nahin rahti kabhi sawal ke baad
na puchho dil ko hui hain aziyyaten kya kya
kabhi sawal se pahle kabhi sawal ke baad
zamir ki wo musalsal malamaten tauba
mila hai dil ko sakun ashk-e-infial ke baad
qarar dil ko nahin tha qarar dil ko nahin
tere visal se pahle tere visal ke baad
tere itab sahe sabr se to lutf hua
tera jamal bhi dekha tere jalal ke baad
zan-o-guman se guzar kar tera KHayal aaya
koi KHayal na aaya tere KHayal ke baad
main dil to haar chuka jaan-o-mal hazir hain
'KHalish' ke pas hai kya aur jaan-o-mal ke baad
Ghazal
Subuk hun apni nigahon mein arz-e-haal ke baad
Khalish Kalkatvi