subhen kirnen tha main, phir bhi shamen phir bhi raat
ek parda, phir farda hai aur phir aage ki baat
sochen tare nochen aur ja pahunchen kitni dur
dil hai gahra ek ja Thahra khoje apni zat
ek chadar lafzon ki bun kar chhup chhup baiThun oT
par aankhen apni hanken aur khulti jae baat
ghaten us ki sari baaten ghaten us ke taur
ghat hai ulfat, ghat hai nafrat aur nainan hain ghat
aanchal chhoDun baadal oDhun pichhe pichhe chand
aankhen kholun, lakh TaTolun kuchh nahin mere hat
ishq mein pahle pal dil chanchal, duja pal ek rog
tije pal ye nainan jal-thal, chauthe pal sab mat
barkha ka qatra bhi dariya sare rut ke khel
bhadon ki chhajon barish bhi pal do pal ki baat
Ghazal
Subhen kirnen tha main, phir bhi shaMein phir bhi raat
Nikhat Yasmeen Gul