subha se matlab na kuchh zunnar se
hain juda hum kafir o din-dar se
ishq hai us abru-e-KHamdar se
kaTunga ek din gala talwar se
dil mera aTka hai chashm-e-yar se
hai mohabbat mardum-e-bimar se
yun ewaz lun ji mein hai aghyar se
ghar jala dun aah-e-atish-bar se
hain ayan kuchh ishq ke aasar se
shoale uThte hain dil-afgar se
kyun na dil apna nazar-o-zar ho
kuchh nazar aate ho tum bezar se
rashk se dil mein na kyun jal jae shama
lau nikalti hai tere ruKHsar se
hijr mein ho kyun na lazzat wasl ki
hai maza inkar mein iqrar se
kucha-e-kakul mein kho kar naqd-e-dil
mol sauda lae hum bazar se
jhanke rauzan se jo tujh ko raKHna-gar
phoD Dalun sar ko main diwar se
jaan aafat mein paDi hai ai tabib
maut behtar hijr ke aazar se
har qadam par shor-e-mahshar hai bapa
piste hain dil aap ki raftar se
KHizr la kar den agar aab-e-baqa
main na badlun sharbat-e-didar se
tegh-e-abru ka jo bosa de to de
warna zalim qatl kar talwar se
KHilat-e-uryani aur jagir-e-dasht
hum ne paya ishq ki sarkar se
sarw ke chehra kamar sina kahan
is ko kya tashbih qadd-e-yar se
hijr mein jangal se hai gulshan siwa
gul bhi mujh ko kam nahin hain KHar se
ja-e-asaish nahin hai dusri
baDh ke tere saya-e-diwar se
roz tanhai mein rahti hai yahan
guftugu pahron KHayal-e-yar se
zulf-o-ariz chashm-o-abru KHal-o-KHat
dil nahin bachta inhin do-chaar se
bosa ab qand-e-mukarrar ho gaya
duni lazzat ho gai takrar se
shart mein boson ki bhi kiya lutf hai
jit mein kam-tar maza hai haar se
ek gul-ru par hua dil dagh dagh
phul lae aaj hum gulzar se
koi mai-kash phir na baiTha ek dam
main jo uThTha KHana-e-KHummar se
bulbulen us rashk-e-gul ke hijr mein
nochti hain apne par minqar se
'sehr' bhejenge ghazal ye yar ko
shauq hai us ko mere ashaar se
Ghazal
Subha se matlab na kuchh zunnar se
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni