اردو हिंदी
Subha se hai na kaam na zunnar se gharaz | Shaahi Shayari
subha se hai na kaam na zunnar se gharaz

Ghazal

Subha se hai na kaam na zunnar se gharaz

Shah Aasim

;

subha se hai na kaam na zunnar se gharaz
hai mujh ko sirf gesu-e-dildar se gharaz

hai dil ko meri kucha-e-dildar se gharaz
bulbul ko jaise hoti hai gulzar se gharaz

bimar-e-ishq hun nahin isa se mujh ko kaam
hai sirf mujh ko sharbat-e-didar se gharaz

mujh ko diya junun ne hai uryani ka libas
mujh ko nahin hai jubba-o-dastar se gharaz

KHwahish nahin hai saya-e-tuba ki zahida
hai mujh ko roz-o-shab qad-e-dildar se gharaz

mujh ko nahin hai KHan-e-bustan se kuchh bhi kaam
rakhta hun us ke saya-e-diwar se gharaz

hai zindagi meri mai-e-gul-rang se mudam
be-wajh mujh ko hai nahin KHummar se gharaz

mazhab hai ishq aur hai rindi se mujh ko kar
kafir se hai na kaam na din-dar se gharaz

zaKHmi-e-tegh-e-ishq hun is waste mujhe
hargiz nahin hai marham-e-zangar se gharaz

dil ko mere hai jaur se us ke hamesha kar
ho mushtari ko jaise KHaridar se gharaz

rakhta hun main gharaz shah-e-KHadim ki ishq se
'asim' mujhe hai yar na aghyar se gharaz