subha hai zunnar kyun kaisi kahi
zahid-e-ayyar kyun kaisi kahi
kaT gae aghyar kyun kaisi kahi
chha gai har bar kyun kaisi kahi
hain ye sab iqrar jhuTe ya nahin
kijiye iqrar kyun kaisi kahi
ruThne se aap ka matlab ye hai
is ko aae pyar kyun kaisi kahi
kah diya main ne sahar hai jhuT-muT
ho gae bedar kyun kaisi kahi
ek to kahte hain sadha bhaptiyan
aur phir israr kyun kaisi kahi
naseha ye bahs diwanon ke sath
aql ki hai mar kyun kaisi kahi
ya KHafa the ya zara si baat par
ho gai bauchhaar kyun kaisi kahi
mujh se baiat kar le tu bhi waiza
hath lana yar kyun kaisi kahi
surma de kar dil ke lene ka hai qasd
aankh to kar chaar kyun kaisi kahi
jaan de de chal ke dar par yar ke
o dil-e-bimar kyun kaisi kahi
kya hi bigDe ho patte ki baat par
ho gae bezar kyun kaisi kahi
ab to 'haidar' aur hi kuchh rang hain
manta hun yar kyun kaisi kahi
Ghazal
Subha hai zunnar kyun kaisi kahi
Nazm tabaa-tabaa.ii