subh tak hum raat ka zad-e-safar ho jaenge
tujh se ham-aghosh ho kar muntashar ho jaenge
dhup sahra tan barhana KHwahishen yaadon ke khet
sham aate hi ghubar-e-rah-guzar ho jaenge
dasht-e-tanhai mein jine ka saliqa sikhiye
ye shikasta baam-o-dar bhi ham-safar ho jaenge
shorish-e-duniya ko aahista-rawi ka hukm ho
nazr-e-KHair-o-shar tere shorida-sar ho jaenge
ye jo hain do-chaar shurafa-e-awadh aKHtar-shanas
kuchh dinon mein ye bhi auraq-e-digar ho jaenge

Ghazal
Subh tak hum raat ka zad-e-safar ho jaenge
Fuzail Jafri