subh se sham ke aasar nazar aane lage
phir sahaare mujhe be-kar nazar aane lage
us musafir ki naqahat ka Thikana kya hai
sang-e-manzil jise diwar nazar aane lage
un ke jauhar bhi khule apni haqiqat bhi khuli
hum se khinchte hi wo talwar nazar aane lage
mere hote dil-e-mushtaq-e-sitam ke hote
yar minnat-kash-e-aghyar nazar aane lage
'saif' itna bhi na kar zabt ki phir un ke huzur
KHamushi dard ka izhaar nazar aane lage

Ghazal
Subh se sham ke aasar nazar aane lage
Saifuddin Saif