اردو हिंदी
Subh rangin-o-jawan sham suhani mange | Shaahi Shayari
subh rangin-o-jawan sham suhani mange

Ghazal

Subh rangin-o-jawan sham suhani mange

Mukhtar Shameem

;

subh rangin-o-jawan sham suhani mange
dil-e-betab ki teri hi kahani mange

koi dekhe ye mera aalam-e-jaulani-e-taba
jis tarah aab-e-rawan aap rawani mange

KHugar-e-aish nahin fitrat-e-shorida-saran
gham-o-andoh-talab soz-e-nihani mange

dasht-e-ghurbat mein un aankhon ki nami yaad aae
tishna-lab jaise koi sahra se pani mange

shumi-e-zist ki ye aaj zuleKHa ki tarah
kasa-e-umr mein lamhat-e-jawani mange

apne KHwabon pe hai sharminda shab-e-gham-dida
subh-e-masum usi shab ki kahani mange

ghuncha-e-shauq 'shamim' aaj khila hai shayad
dil-e-wahshat-zada KHun-naba-fashani mange