اردو हिंदी
Subh qayamat aaegi koi na kah saka ki yun | Shaahi Shayari
subh qayamat aaegi koi na kah saka ki yun

Ghazal

Subh qayamat aaegi koi na kah saka ki yun

Bayan Meeruti

;

subh qayamat aaegi koi na kah saka ki yun
aae wo dar se na-gahan khole hue qaba ki yun

gauhar-e-nab-suda ko zulf mein mat dikha ki yun
meri kamand-e-shauq mein raat ke waqt aa ki yun

kyun ki jhuke nasim se soche thi nargis-e-chaman
dekh ke chashm-e-naz ko aane lagi haya ki yun

chahte the shuhud mein ghaib ka rang dekhna
meri zi-KHwesh-e-raftagi ban gai rahnuma ki yun

sahw thi waz-e-KHastan bistar-e-aish-e-wasl se
dekh ke un ki shoKHiyan fitna hua bapa ki yun

dida-e-ahl-e-ishq hai nur-e-nigah se tahi
aae wo farsh-e-naz par chhoD ke kafsh-e-pa ki yun

main ne kaha kanar-e-naz chahiye is ghamin se pur
sun ke raqib-e-zisht ko pas biTha liya ki yun

shoala-e-rashk-e-ghair se jal ke uThana jae tha
dur charagh-e-bazm ne uTh ke bata diya ki yun

KHun-e-shahid-e-ishq wo kahte the fash kaise ho
rang-e-gul-ezar se surKH hui hawa ki yun

us kaf-e-pa ke bose ki kab mujhe rah yaad thi
badraqa-e-talab hui jurat-e-sang-e-pa ki yun

rizq nahin hai bin talash kahti thi tangi-e-maash
gardish-e-sang-e-asiya dene lagi sada ki yun

us ke KHiram-e-shauq se pis gai KHalq kis rawish
miT gai baad-e-tund se surat-e-naqsh-e-pa ki yun

sai-e-tariq-e-shauq se fitne ko aagahi nahin
us ki jilau mein dauDe se saya barhana-pa ki yun

shab ko numu-e-rang se KHanda-e-gul ka zikr tha
nashw-o-numa-e-husn se TukDe hui qaba ki yun

nargis-e-mahwishan se puchh gardish-e-asman se puchh
surma hue wafa-sarisht kya kahen ai KHuda ki yun

san-e-gulshan-e-iram main ne kaha ki hae hae
dar pe us anjuman se dur qatl mujhe kiya ki yun

main ne kaha nasim se chaTke hai ghuncha kis tarah
kunj-e-dahan-e-tang se bose ne di sada ki yun

reKHta rashk-e-farsi us se na ho saka bayan
mahfil-e-urs-e-'mir' mein sher mere suna ki yun