subh ko sham likh diya main ne 
apna anjam likh diya main ne 
mujh se pucha gaya wafa kya hai 
bas tera nam likh diya main ne 
aati jati hui hawaon par 
dil ka paigham likh diya main ne 
git ghazlen rumaiyan nazmen 
sab tere nam likh diya main ne 
'shama' in aansuon ko aahon ko 
ishq inam likh diya main ne
        Ghazal
Subh ko sham likh diya maine
Syeda Nafis Bano shama

