subh ko nikla tha garche karr-o-farr se aaftab
munh phiraya ho KHajil us ishwa-gar se aaftab
aasman par gar gire barq-e-nigah-e-tund-bar
abr mein rah jae chhup kar us ke Dar se aaftab
gar naqab apni ulaT de wo ruKH-e-tabinda se
gir paDe betab ho kar charKH par se aaftab
dil mein jab se dekhta hai wo teri taswir ko
nur barsata hai apni chashm-e-tar se aaftab
haibat-e-shah-e-dakan se 'shad' ye shohra hai aaj
kanpta nikla kare jeb-e-sahar se aaftab
Ghazal
Subh ko nikla tha garche karr-o-farr se aaftab
Maharaj Sir Kishan Parashad Shad