subh ko chain na ho sham ko aaram na ho
is se behtar hai meri subh na ho sham na ho
mahfil-e-daur-e-ghazal sarf-e-mai-o-jam na ho
zindagi meri bhala kaise bad-anjam na ho
har ghaDi samne hai silsila-e-dar-o-rasan
tujh sa zalim koi ai gardish-e-ayyam na ho
na-muradi ki shikayat zara ye to sochen
na-muradi hi kahin ishq ka inam na ho
mujh ko duniya se hai ummid wafa ki ab tak
koi bhi is tarah sar-gashta-e-auham na ho
shauq hai tujh ko zamane mein tera nam rahe
aur mujhe Dar hai mohabbat meri bad-nam na ho
koi din jata hai mahfil mein bikhar jaegi
apni haalat pe pareshan dil-e-nakaam na ho
tu ne kab ishq mein achchha bura socha 'sarwar'
kaise mumkin hai ki tera bura anjam na ho
Ghazal
Subh ko chain na ho sham ko aaram na ho
Sarwar Alam Raz