subh ki pahli kiran pahli nazar se pahle
hum ko hona hai kahin aur sahar se pahle
chand ne dekh liya hum ko kanar-e-dariya
bhag chalte hain kisi aur KHabar se pahle
lau lagane se gai dar-badari ki zillat
KHud ko pahuncha hua lagta hun safar se pahle
kyun na duniya ko dikhaun main jale hath ka zaKHm
kuchh charaghon se talluq tha udhar se pahle
ek hatheli hai meri ek hatheli us ki
sab duaen hain asar-yab asar se pahle
sham ke baad andhera nahin rahta ghar mein
ek suraj nikal aata hai sahar se pahle
tab meri aankh khula karti thi andar ki taraf
main ne dekha hai use pahli nazar se pahle
tu faqat sina-o-dil hai na faqat aariz-o-lab
suKHan aaghaz kare koi kidhar se pahle
Ghazal
Subh ki pahli kiran pahli nazar se pahle
Abbas Tabish