اردو हिंदी
Subh ki aaj jo rangat hai wo pahle to na thi | Shaahi Shayari
subh ki aaj jo rangat hai wo pahle to na thi

Ghazal

Subh ki aaj jo rangat hai wo pahle to na thi

Faiz Ahmad Faiz

;

subh ki aaj jo rangat hai wo pahle to na thi
kya KHabar aaj KHiraman sar-e-gulzar hai kaun

sham gulnar hui jati hai dekho to sahi
ye jo nikla hai liye mishal-e-ruKHsar hai kaun

raat mahki hui aai hai kahin se puchho
aaj bikhrae hue zulf-e-trah-dar hai kaun

phir dar-e-dil pe koi dene laga hai dastak
jaaniye phir dil-e-wahshi ka talabgar hai kaun