اردو हिंदी
Subh ke shor mein namon ki farawani mein | Shaahi Shayari
subh ke shor mein namon ki farawani mein

Ghazal

Subh ke shor mein namon ki farawani mein

Sarvat Husain

;

subh ke shor mein namon ki farawani mein
ishq karta hun isi be-sar-o-samani mein

surma jis ke kinaron se palaT aate hain
main ne kashti ko utara hai usi pani mein

sufiya tum se mulaqat karunga ek roz
kisi sayyare ki jalti hui uryani mein

main ne angur ki belon mein tujhe chum liya
kar diya aur izafa teri hairani mein

kitna pur-shor hai jismon ka andhera 'sarwat'
guftugu KHatm hui jati hai jaulani mein