subh kaisi hai wahan sham ki rangat kya hai
ab tere shahr mein haalat ki surat kya hai
ek aazar dhaDakta hai yahan sine mein
ab tujhe kaise bataen ki mohabbat kya hai
hukm deta hai to aawaz laraz jati hai
jaane ab ke mere salar ki niyyat kya hai
ye jo main peD ugane mein laga rahta hun
main samajhta hun meri pahli zarurat kya hai
mera to ye hai ki main bikhra hua hun ab tak
tu bata mujh se bichhaD kar teri haalat kya hai
aankh mein uDti hui dhul bata deti hai
dil mein aae hue bhaunchaal ki shiddat kya hai
lamha lamha main khincha jata hun us ki jaanib
jaane us miTTi se 'azhar' meri nisbat kya hai
Ghazal
Subh kaisi hai wahan sham ki rangat kya hai
Azhar Adeeb