اردو हिंदी
Subh ka manzar hai lekin gul koi taza nahin | Shaahi Shayari
subh ka manzar hai lekin gul koi taza nahin

Ghazal

Subh ka manzar hai lekin gul koi taza nahin

Misdaque Azmi

;

subh ka manzar hai lekin gul koi taza nahin
ru-e-gulshan par kahin bhi os ka ghaza nahin

TuT kar hum chahne walon se jab bichhaDenge aap
hum hi hum bikhrenge lekin misl-shiraaza nahin

ghaar walon ki tarah nikla hai wo kamre se aaj
us ko is duniya ki tabdili ka andaza nahin

kuchh na kuchh kahte to rahte hain yahan hum log ji
phir bhi is shahr-e-butan mein kai aawaza nahin

is imarat ke muqaddar ki lakiron mein kahin
khiDkiyan to hain magar 'misdaq' darwaza nahin