subh ka bhed mila kya hum ko
lag gaya raat ka dhaDka hum ko
shauq-e-nazzara ka parda uThTha
nazar aane lagi duniya hum ko
kashtiyan TuT gai hain sari
ab liye phirta hai dariya hum ko
bhiD mein kho gae aaKHir hum bhi
na mila jab koi rasta hum ko
talKHi-e-gham ka mudawa malum
paD gaya zahr ka chaska hum ko
tere gham se to sukun milta hai
apne shoalon ne jalaya hum ko
ghar ko yun dekh rahe hain jaise
aaj hi ghar nazar aaya hum ko
hum ki shoala bhi hain aur shabnam bhi
tu ne kis rang mein dekha hum ko
jalwa-e-lala-o-gul hai diwar
kabhi milte sar-e-sahra hum ko
le uDi dil ko nasim-e-sahari
bu-e-gul kar gai tanha hum ko
sair-e-gulshan ne kiya aawara
lag gaya rog saba ka hum ko
yaad aai hain barahana shaKHen
tham le ai gul-e-taza hum ko
le gaya sath uDa kar 'baqi'
ek sukha hua patta hum ko
Ghazal
Subh ka bhed mila kya hum ko
Baqi Siddiqui