subh hoti hai to daftar mein badal jata hai
ye makan raat ko phir ghar mein badal jata hai
ab to har shahr hai ek shahr-e-tilismi ki jahan
jo bhi jata hai wo patthar mein badal jata hai
ek lamha bhi Thaharta nahin lamha koi
pesh-e-manzar pas-e-manzar mein badal jata hai
naqsh ubharta hai ummidon ka falak par koi
aur phir dhund ki chadar mein badal jata hai
band ho jata hai kuze mein kabhi dariya bhi
aur kabhi qatra samundar mein badal jata hai
apne mafhum pe paDti nazar jab us ki
lafz achanak but-e-shashdar mein badal jata hai
Ghazal
Subh hoti hai to daftar mein badal jata hai
Faryad Aazar