اردو हिंदी
Subh ho sham judai ki ye mumkin hi nahin | Shaahi Shayari
subh ho sham judai ki ye mumkin hi nahin

Ghazal

Subh ho sham judai ki ye mumkin hi nahin

Jalal Lakhnavi

;

subh ho sham judai ki ye mumkin hi nahin
hijr ki raat wo hai jis ke liye din hi nahin

subh karna shab-e-gham ka kabhi mumkin hi nahin
aa ke din pher de apne wo koi din hi nahin

dil-e-be-tab mohabbat ko ho kis tarah sukun
donon harfon mein jab us ke koi sakin hi nahin

kya mazammat hai mujhe subh-e-shab-e-hijr un se
jin se kahta tha ki bachna mera mumkin hi nahin

shab-e-furqat use maut aa gai mere badle
de azan subh ki kaun aaj moazzin hi nahin

bistar-e-gham se uTha kar ye biThata hai hamein
koi juz dard-e-jigar aur muawin hi nahin

rah chalte bhi ye puchhen ki kidhar aa nikle
jaise hum kucha-e-mahbub ke sakin hi nahin

yaad-e-gesu ne dikhaya hai wo aalam hum ko
raat rahti hai jahan aaTh pahar din hi nahin

banda-e-ishq hain iman ki kahte hain 'jalal'
hum ko kafir jo samajhta hai wo momin hi nahin