subh hai raat kahan ab wo kahan raat ki baat
baat hi baat to hai baiTh bhi lo baat ki baat
arsh par rahte hain kya kabe ke rahne wale
koi sunta hi nahin ahl-e-KHarabaat ki baat
ye koi baat hai KHum sath liye waiz aae
aur phir main na sunun qibla-e-hajat ki baat
phuT kar rote hue dekh liya hai mujh ko
chheDne ko mere har-waqt hai barsat ki baat
wahi ubhri hai shikan ban ke jabin par teri
gaD gai dil mein tere kya kisi bad-zat ki baat
na khula ye ki kahan shab ko bichai thi bisat
ghair ki chaal ka kuchh zikr tha kuchh baat ki baat
jab kaha main ne kaho ghair ke ghar ka kuchh haal
bole jhunjhla ke nikali wahi be-baat ki baat
kahin aisa na ho aa jae taras aap ko kuchh
aap suniye na kisi morid-e-afat ki baat
zarf-e-be-mai se pilai to haram mein phaili
phailti jald hai kuchh ahl-e-karamat ki baat
raat kabe mein gai qulqul-e-mina ban kar
na to chhupti hai na dabti hai KHarabaat ki baat
koste hain wo buri tarah jo kahta hun 'riyaz'
raat-bhar aaj bhi hoti rahi kal raat ki baat

Ghazal
Subh hai raat kahan ab wo kahan raat ki baat
Riyaz Khairabadi