subh-e-wafa se hijr ka lamha juda karo
manzil se gard, gard se rasta juda karo
ek naqsh ho na pae idhar se udhar mera
jaisa tumhein mila tha main waisa juda karo
shab-zad-gan! tum ahl-e-KHabar se nahin so tum!
apna madar apna madina juda karo
yan pai-ba-pai jo KHwab khule nai-ba-nai khule
jitna juda ye ho sake utna juda karo
main tha ki apne-ap mein KHali sa ho gaya
us ne to kah diya mera hissa juda karo
Ghazal
Subh-e-wafa se hijr ka lamha juda karo
Shaheen Abbas

