اردو हिंदी
Subh-e-tarab to mast-o-ghazal-KHwan guzar gai | Shaahi Shayari
subh-e-tarab to mast-o-ghazal-KHwan guzar gai

Ghazal

Subh-e-tarab to mast-o-ghazal-KHwan guzar gai

Hasan Nayeem

;

subh-e-tarab to mast-o-ghazal-KHwan guzar gai
sham-e-alam jo aai to aa kar Thahar gai

dekha kisi ne auj-e-tasawwur na auj-e-fan
pinhan tha dagh-e-aib to sab ki nazar gai

yaad-e-KHuda se bab-e-haram tak khula nahin
yaad-e-butan se dil pe qayamat guzar gai

taDpa qafas mein kaun jo ai subh-e-nau-bahaar
ru-e-gul-o-giyah saba chashm-tar gai

itna dil-e-'naim' ko viran na kar hijaz
roegi mauj-e-gang jo us tak KHabar gai