subh-e-safar ka raaz kisi par yahan na khol
tufan hai paniyon mein abhi baadban na khol
pasmandgan pe chhoD ki DhunDen nuqush-e-pa
jo sang-o-KHisht hain tah-e-ab-e-rawan na khol
main ne sarab-e-fahm ke sab raaz pa liye
ab lakh mujh pe uqda-e-haft-asman na khol
sab kuchh yahan hai chashm-e-KHaridar ki pasand
uzr-e-mata-e-dard agar hai dukan na khol
shaKH-e-shajar pe shoala-e-KHurshid bujh to le
kuchh der tirgi pe dar-e-KHak-dan na khol
har bazm kyun numaish-e-zaKHm-e-hunar bane
har bhed apne doston ke darmiyan na khol
'shahid' hisar-e-jail pe teshe se war kar
in pattharon ke ru-ba-ru apni zaban na khol

Ghazal
Subh-e-safar ka raaz kisi par yahan na khol
Saleem Shahid