subh-e-nushur kyun meri aankhon mein nur aa gaya
teri naqab ulaT gai ya koh-e-tur aa gaya
wo bhi ajib waqt tha mujh pe hayat tang thi
lekin usi azab mein jina zarur aa gaya
tum ne to koh-qaf mein umr-e-aziz kaT di
lekin wo tifl kya kare jis ko shuur aa gaya
is arsa-e-hijab ki aaKHir ko had bhi hai kahin
teri talash mein koi duniya se dur aa gaya
duniya ko dekh dekh ke apni waza badal gai
warna wo nur main hi tha jo sar-e-tur aa gaya
zahid use bura na kah mana ki rang surKH hai
aankhon se mai chhalak gai dil ko surur aa gaya
Ghazal
Subh-e-nushur kyun meri aankhon mein nur aa gaya
Rasool Saqi