subh-e-nau lati hai har sham tumhein kya malum
zaKHm KHushiyon ke hain paigham tumhein kya malum
bhul kar bhi jo kisi bazm mein aaya na gaya
sainkaDon us pe hain ilzam tumhein kya malum
log gulshan mein to chalte hain sar-afraazi se
un mein kitne hain tah-e-dam tumhein kya malum
kuchh andhere bhi KHatawar-e-tabahi hain magar
raushni par bhi hai ilzam tumhein kya malum
jis ko tum DhunDte ho sham-e-ruKH-e-naz liye
wo to arse se hai gumnam tumhein kya malum
jo ruKH-e-zist pe tha harf-e-ghalat ki manind
mil raha hai use inam tumhein kya malum
jo kafan bandh ke chalte hain wafa ki rah mein
zindagi kar chuke nilam tumhein kya malum
surKH-ru kaun hua kucha-e-jaanan mein kabhi
namwar bhi hue badnam tumhein kya malum
do qadam bhi na chale rah-e-wafa mein hum log
hai abhi zauq-e-talab KHam tumhein kya malum
jo jala raat ki tanhai mein us par bhi 'KHayal'
bewafai ka hai ilzam tumhein kya malum
Ghazal
Subh-e-nau lati hai har sham tumhein kya malum
Faiz ul Hasan