اردو हिंदी
Subh-e-nau aa gai tirgi miT gai shor hai har taraf inqalab aa gaya | Shaahi Shayari
subh-e-nau aa gai tirgi miT gai shor hai har taraf inqalab aa gaya

Ghazal

Subh-e-nau aa gai tirgi miT gai shor hai har taraf inqalab aa gaya

Anand Narayan Mulla

;

subh-e-nau aa gai tirgi miT gai shor hai har taraf inqalab aa gaya
mujh ko Dar hai andhera koi raat ka munh pe Dale sahar ki naqab aa gaya

husn ki ye ada bhi hai kitni hasin ek tabassum mein sab kuchh hai kuchh bhi nahin
apni apni samajh apna apna yaqin har sawal nazar ka jawab aa gaya

bazm-e-hasti mein hangama barpa kiye koi gita liye koi quran liye
main bhi saqi ke hathon se pai thi jo le ke apni sunahri kitab aa gaya

fitrat-e-husn ko kaun samjhe bhala gah ata hi ata gah jafa hi jafa
gah taqsir ki aur hansi aa gai gah sajde kiye aur itab aa gaya

zist ki talKHiyan al-aman phir bhi wo chhin paen na mere labon se hansi
ishq tu ne diya wo gham-e-shadman ho ke nakaam main kaamyab aa gaya

gardish-e-roz-o-shab ne na jaane kahan ki nikali hai 'mulla' se ye dushmani
us ne saghar uThaya sahar ho gai us ne saghar rakha mahtab aa gaya