subh-e-ishrat zindagi ki sham ho kar rah gai
hasrat-e-dil maut ka paigham ho kar rah gai
tum ne duniya ko luTa den neamaten achchha kiya
meri duniya bas tumhaara nam ho kar rah gai
jis sahar ki hum ne mangi thi asiri mein dua
wo sahar aai to lekin sham ho kar rah gai
ai mohabbat ke KHuda ai ishq ke parwardigar
har tamanna ab KHayal-e-KHam ho kar rah gai
KHauf-e-ruswai ne mujh ko aah bhi bharne na di
lab tak aai bhi to un ka nam ho kar rah gai
dekh kar un ko meri aankhon mein bhar aae the ashk
baat hi kya thi magar wo aam ho kar rah gai
ahl-e-mahfil dekhte hi 'saif' be-KHud ho gae
har ada saqi ki sharh-e-jam ho kar rah gai
Ghazal
Subh-e-ishrat zindagi ki sham ho kar rah gai
Saif Bijnori