subh-e-gulshan mein ho gar wo gul-e-KHandan paida
baiza-e-ghuncha se ho bulbul-e-nalan paida
ashk hai ham-rah-e-ah-e-dil-e-sozan paida
kya tamasha hai ki aatish se hai baran paida
hai ajab kar numayan tere chashm o lab se
pal mein mar jate hain hum dam mein hain phir han paida
qad tera ai but-e-gul-posh ho gar saya-fagan
to qayamat ho sar-e-KHak-e-shahidan paida
le uDa baad ke manind pa pani saqi
kashti-e-mai hui jun taKHt-e-sulaiman paida
hun wo majnun ki kare hai meri pa-bosi ko
silsila halqa-e-chashman-e-ghazalan paida
hans ke dandan ko dikha do to na shabnam se sahar
dahan-e-ghuncha kare bagh mein dandan paida
zulf o KHat dekh tere ruKH pe na kyun hairan hon
chashma-e-mahr mein hain sumbul-o-raihan paida
kya ghazab hai ye tere daman-e-mizhgan ki jhapak
ishq ke dil se hui aatish-e-pinhan paida
tujh ko dun hur se nisbat to ye mera hai qusur
ki jahan mein nahin tujh sa koi insan paida
teri KHidmat ko paristan mein bani hain pariyan
aur ghulami ke liye hain teri ghilman paida
ye tere zer-e-zaqan dast-e-hinai hai kahan
seb-e-jannat se hai sar-panja-e-marjaan paida
Turfa-tar likh ghazal is bahr mein ek aur 'nasir'
karte hain gauhar-e-mani ko suKHan-dan paida
Ghazal
Subh-e-gulshan mein ho gar wo gul-e-KHandan paida
Shah Naseer