subh-e-firaq al-aman wasl ki sham al-aman
ajib hai bisat-e-ishq ajab nizam al-aman
the kabhi jo surKH-ru wo to hum nahin rahe
tum to ho chunin-chunan tumhaara nam al-aman
guzar gai ye zindagi qadam qadam ghasiT ke
maut bhi aa rahi hai kya gam-ba-gam al-aman
phir raha tha ja-ba-ja faqir rizq ke liye
aaKHir use ghiza mili wo bhi haram al-aman
sari talash hai abas sari talab hai raegan
kar-e-fuzul ishq mein sab kuchh tamam al-aman
harf-e-kalam se pare harf-e-sukut ka jahan
koi nahin pahunch saka naqsh-e-dawam al-aman
khulta nahin 'hamesh' par uqda-e-fareb kyun
kis ne bichhae hain yahan dana-o-dam al-aman
Ghazal
Subh-e-firaq al-aman wasl ki sham al-aman
Ahmad Hamesh