subh-e-daraKHshan apne watan mein KHwab-e-pareshan apne watan mein
kaif-e-musalsal raqs-e-bahaaran jalwa-e-KHandan apne watan mein
Dub rahi hai nabz-e-hasti TuT raha hai sans ka jadu
lail-o-nahaar-e-zist yahi hai dard hai darman apne watan mein
ahl-e-junun ko faqa-masti ahl-e-KHirad ko ishrat-e-hasti
dekh ke ye tauqir-e-insan aql hai hairan apne watan mein
aaj hawas ka nam mohabbat aur mohabbat wajh-e-kulfat
KHulq hai mahnga apne watan mein pyar hai arzan apne watan mein
dil mein kasak aur lab par aahen aankh mein aansu sar mein sauda
husn ki duniya KHandan KHandan ishq hai giryan apne watan mein
bhul ja 'nazir' apna mazi aish-e-guzishta KHwab tha goya
tere muqaddar mein hai Thokar tu hai pareshan apne watan mein
Ghazal
Subh-e-daraKHshan apne watan mein KHwab-e-pareshan apne watan mein
Nazir Al-Husaini